Post by MAZHAR FAZLE REHMANI on May 17, 2018 14:27:41 GMT
Ma sha ALLAH ramzaan sharif agaya hai, har saal ki tarah hum sab tayariyo main lag jayen gay, bina ramzan ki haqiqat ko janay, ki ALLAH nay humko is mubaraq mahinay say kyun nawa, ye mahina kis liye aya wajah kya thi aur humko is mahinay say kya sikhana tha, zyadar tar log roza rakh to letay hai par rozay ki haqiqat sat ghafil rehtay hai, roza sirf peat(stomach) ka nahi hai, ki bhokay reh liye aur baat khatam hogaye haqiqat main to jism kay har aza ko roza rakhana hai, na hamari zaban jhoot bolay, chugli karay, galiyan dey, na ankh bura dekhay, na kaan kisi ki gibat sunay gali galoch sunay koi bhi buri cheez sunay, na pair kisi galat jagah jaye, na hath koi galat kam karay yahan tak ki soch mai bhi pakezgi ho to ye muqamal taur pay roza hua par hum ye sab nahi kartay huwey sirf bhukay reh letay hai aur magrib main itna zayada kha letay hai ki namaz bhi sahi say ada nahi ho pati.
To mere azizio ALLAH ko aisa rozay ki zaroorat kya hai jab tak hum rozay ki azmat aur hikmat nahi samjhay gay humko haqiqi rozay ki marefat hasil nahi hogi, Ramzan haqiqat main sehri aur iftari ka naam nahi hai, Ramzan main " Ram" say murad reet hai, arab main reet ko ramal kehtay hai..aur "zaan" yani garmi jo aag nikalti hai reet say, haqiatan to bhook ki garmi aur pyas ki shidat kay ehsas ko mehsus karnay ka naam ramzanhai...bhukey ki bhook ka ahsas hona nafs ko mazay aur lazat say door rakhna kay naam roza hai, hum to dastarkhwan par rozay kay baad itni sari neemat khaletay hai jiska hisab nahi, aur din bhar so kar ya aram kar kay guzar detay hai mai ye nahi kahta ki sab aisa kartay hai par zyada tar ka haal yahi hai, beshaq ye rab ka karam hai ki wo humko khilata hai par hamara ye farz hai ki hum uski hikmat ko samajhay aur garebo ko apnay sath shareeq karay unko khilaye na ki sirf ramzan kay mahinay par pura saal...aur hum bhi taqwa ikhtiyar karay aur nafs ko isi tarah rakhay jaisay ramazan main rakha hai, asal main humko apni nafs ko lazaato kay fareb say bhooka rakhna hai, jo bhi uski khawaishat hai usko tarq karna hai, har aram ko tarq karna hai, roza andar aur bahar dona ka hona jab ye baat ayegy to nafs kamzor hogy aur ibadat main lazzat paida hogy, dil kareyga ki sajda lamba ho kayaam lamba ho, rab kay deedar ki talab bhadeygy kyu ki nafs hi parda hai banday aur rab kay beech, par hum main ye sab batay nahi aty kyu ki hum sirf zahiri rozay main hai aur wo bhi peth ka baki azay to fareeb hi de rahay hai, isliye jo upar likha hai agar us par amal kiya to ye hoga asal ramzan ka roza, agar ap ki zindagi ka har saal ramzan kay mahinay ki tarah guzra to halate parday kay waqt jab rooh niklegy to apki haqiqi eid hogi, wahi asal eid hai jab mehboob ka deedar hoga, Ahle Tariqat sufi faqeer is wajah say sari zindagi rozay main guazar detay hai, wo sirf ek mahina nahi balki puri zindagi rozay ki halat main rehta hai, isi wajah say unki nafs unkay kabu main ajaty hai, yahi tariqat ka wazu hai jisnay isay kayam rakha haqiqatan eid uski hai......umeed hai aap sab ko meri baat samajh aye hogy.
To is ramzan ahad karay ki hum agar pura saal nahi to kum say kum ye ek mahina aisa roza rakhay jo hamaray rab ko razi karlay ameen suma ameen.
Islamic videos aur sufiya ki talemat kay liye is link pay click karay, Pls is link ko share bhi karay.
www.youtube.com/channel/UC9hkloJxu4X2COhQb_H83fw?sub_confirmation=1