|
hal
Nov 25, 2005 5:22:34 GMT
Post by fakhifarooque on Nov 25, 2005 5:22:34 GMT
Assalamalaikum imam saheb meri shaadi hokar 18 mahine hogaye hai . shhadi se pehle hamara pyaar 6 saal tak raha hai ab hamari shaadi hogayi hao ab hum dono me har baat ko lekar jhagde hote hai aur meri rozi me barkat hi nahi rahi hai jitna paise aata hai pata nahi kaha chala jaata hai meri gharwali ki tabiyat hamesha kharab rahti hai meri rozi me barkat aaye aisa koi tareeka bataye aur hamare walid saheb ki tabiyat bhi thik nahi raheti hai unke liye bhi dua kare meri pareshaniyo ka hal bataye
Allah_hafeez
|
|
|
hal
Nov 28, 2005 23:06:53 GMT
Post by Imam on Nov 28, 2005 23:06:53 GMT
Bismillahir Rahmanir Raheem, Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu, Tamam ta'rifen uss Allah ke liye hain jo Malik he sare jahanun ka, aur daimi durud o salam ho hamare aaqa wa mawla par, jo sare jahan ke liye Rahmat al lil 'alamin hen. Sab se pehle aap ko ye baat dekhnee hogi ke kiya mein paanch waqt ki namaaz ada karta hun? Agar nahin to tumhara ye fardh banta heh ke tum us ke hukm ki ta'mil baja lao. Agar tum parthe ho to tumhe kissee baat ki fikar karne ki zururat nahin. Agar tum paanch waqt ki namaz parthe ho to Qur'an-e-paak ki rozana tilawat karo, aur kam se kam so ayaten harroz ki parho, iss se Allah tabarak wa ta'ala tumhari rozi mein barkat dega. Walidayn ki kidmat karna har musalman mard aur aurat par fardh heh. Kiya tum dekhte nahin ke unhon ne tumhe jana, saath rakha, khaya pilaya, barha kiya, to tumhara fard nahin ke tum jitna apne aap ki dhek bal karte ho tu unki bi karni heh? Biwi aur bachon se pyar aur muhabbat se pesh aao. Kyunke ye jo aaj kal ki muhabbaten hein na, tumhe kal aakhirat mein kaam nahin aane waali! Udhar se jab pooch ghach ho gi ke men ne tumhein apnee muhabbat aur ibadat ke liye paida kiya tha aur tu auron se muhabbat karne laga, ya'nee ghayron se, to tum kiya jawaab do ge? Us waqt bohot mar parhe gee, aur phir tumhe apni dunya ki muhabbat yaad aa jaye gi! Iss liye muhabbaten wohabbaten choro aur usee ka zikar kiya karo, warna jitni dunya tumhari baqi hai na uss se be ghuzar jao ge! Allah ta'ala sahih ma'no mein hame us ki aur uss ke Mehboob ki muhabbat ata farma'i, aur jo jo hamara fard banta hai, bi la nagha usse ada karne ki tawfiq ata farma'i. (Amin, thumma Amin) M. Waseem Ashrafi
|
|